Table of Contents
Suspense and thriller story in English | Crime Thriller story in english
Title – “DOSTI- Ek fareb”
(thiller story) Rohan apne Ghar ki balkani me ghum rha tha.Thoda presan sa lag rha tha sayad..koi baat use andar se paresan kr rhi thi. Vo sidhiyon se utar hin rha tha ki tabhi uske phone ki ring bazi or ghabrate huye uss no. Pe bat krta hai aur phir kuch der baat krne ke baad vo apne kamre me Chala me Chala jata hai… . Thodi der baad Rohan apne kamre se nikalta hai aur iss bar uske sath ek Badi si bag bhi hoti hai..pr us bag me ky tha ye sirf Rohan janta h… . Best 1 Suspense and thriller story in English
Dhiraj Sriwastav ,Jo Rohan ke padosi hai .Vo apne Ghar ki balkani me kuch office ka Kam KR rhe the ki tabhi unki nazar Rohan par gai kyunki aaj Rohan kuch alag hi vartaw Kar rha tha. Unhe laga ki sayad Rohan apne maa-papa se itne din se mila nhi hai isiliy vo presan hai.
Dhiraj Sriwastav dil ke achhe or nek aadami hai. Rohan ke mata-pita se unki bhut achhi dosti hai aur isiliy Rohan ko bhi vo apne sage bete ki tarah pyar krte hai.
Rohan ke mata-pita pese se Scientist hai isiliy vo jadatar ghar se bahar hin rhte hai.Unki gair mauzudagi me Mr.sriwastav hi Rohan ka khayl rakha krte hai. Kisi bhi chiz ki kami ho to Rohan apne mata-pita se nhi balki Mr.sriwastav ko btata. Vo unse sari baaten sajha Kiya krta hai,acchi-buri sab.
Rohan 19 saal ka hai aur av-av usne CBSE se 12th pass Kiya hai. Rohan padhai me bhut hin honhar bachha hai ,aur iss bar usne 12th bhi achhe number se pass kiye hai. Uska sapna bhi apne mata pita ki tarah hi izzat kamane ki hai.
Lekin aaj Rohan us bade se bag me ky le ja rha hai aur bina mujhe btaye ,ye bat Mr.sriwastav ko hazam nhi ho huyi aur vo turant Rohan ko aawaj dete hai. Best 1 Suspense and thriller story in English
Rohan ky huya beta ,itni jaldi me kha ja rhe ho aur iss bag me ky hai.
Rohan palat KR dekhta to hai par koi jawab nhi deta ki tabhi phir se Mr.sriwastav kahte hai..ky huya thode presan se lg rhe ho,sab thik to hai na beta.
Rohan bina kuch kahe us bag ko apni car me rakhta hai aur turant Chala jata hai.Mr.sriwastav shock ho jate hai ki aisa Rohan ne kabhi vartaw nhi Kiya aur phir vo dubara apne Kam me lag jate hai.
Takriban 2 ghante ke baad Rohan aata hai ,apni car ko park krta hai or apne kamre me Chala jata hai. Mr.sriwastav ye sabhi chize dekh rhe hote hai aur vo sochate hai ki koi bat hai Jo Rohan ko paresan KR rhi hai..aur vo Rohan ke mata-pita ko phone krke bula lete hai.
Rohan apne kamre me tha aur tabhi uske Ghar ki ring bell bajti hai or Rohan chauk jata hai ki aakhir iss waqt Kon hoga. Thodi hi der me Rohan ko ek aawaj sunayi deti hai ,Rohan darwaja kholo beta ,hum aaye hai aapkr mammy papa.
Ye sun Kar jaha har bar Rohan khud ho jaya krta tha aaj vo paresan ho Gaya. Chehre pe juthi muskan lete huye vo darwaja kholta hai aur mammy papa ko hmesa ki tarah galr lgata hai. Rohan ke mammy papa bhi usko gale lagte hai.
Sakuntala ji( Rohan ki maa) – beta ky hua itni der lga di darwaja kholne me.
Rakesh ji(Rohan ke pita) – ha, itni der..koi Kam me busy the ky.
Rohan – Nhi..,(ghabrate huye) bas..yu hi soo tha.
Sakuntala ji – kya bat hai Rohan , Sriwastav ji kah rhe the ki tum presan ho..koi bat hai to hame batao ,paise ki zrurt hai kya.. .
Rohan ke pita vahi pe baithe huye apni biwi ki bato pe hami bharte hai.
Rohan – No Mammy,all is good .(muskurate huye)
Rohan – Aap aaj achnak…Bina btaye ,koi khas bat.. Best Suspense thriller stories in English | Crime Thriller story in english
Sakuntala ji – Nhi bete hum to Bass tum se Milne aaye the.
Rohan ke mata pita Rohan se apne room me Jane ko kahte hai..or vo khud bhi dusre kamre me chale jate hai.
Rohan apne kamre me presan idhar udhar ghum rha hota hai sochta hai ki aakhir Mammy- papa ko Jane ko kaise kahe. Iss kasamkas me Sam ho jati hai aur av Sam me 5:12 min ho rhe hai..ki Rohan ke pita aawaj dete hai…Rohan.. beta hum ja rhe hai..hame kaam hai.
Rohan apne mata-pita ko chod KR aa hi RHA hota hai ki tabhi uski phone ki ring bajti hai..aur udhar se ek aawaj aati hai…’bag ko sahi jagah par rakhe to ho na..police ko milegi to nhi’. Aawaj ki ldki ki thi.
Rohan thodi der chup rhta hai..dubara se vahi bat bolti hai..Rohan tum sun rhe ho na..Kya hua tum kuch bol kyun nhi rhe.
Rohan – Shristi ,don’t worry kisi ko kuch pata nhi chalega aur tum ghabrana band Karo. Ye sab sirf hamre bich hi rahni chahiye.
Shristi – hmm, achha bye apna khyal rkhna.
Rohan – hmm tum bhi.
Kuch dino Tak sab thik rahta hai..phir ek din subah 10;00 baje Rohan ke Ghar ki ring bell bajti hai..aur Rohan aaram se darwaja kholta hai..aur vo chauk jata hai..
Samne darwaje pe uske freind Aashis ke mammy papa police ke sath hote hai. Best 1 Suspense and thriller story in English
Aashis ke mammy papa – Rohan beta aapne Aashis se bat ki hai ? Vo kuch dino se ghar nhi aaya.
Police – Hello ,Mr.Rohan ,Mai iss area ka sub-inspector hu.
Also Read: janiye google ke ceo sundar pichai ki jivani
Rohan – hello sir
Police – Aashis aapka dost ,vo kuch dino se lapata hai.. ky aap bta skte h vo kha ho skta hai.
Rohan – kya (shock hote huye) haa..pr Meri usse bhut dino se bat nhi huyi.
Police – kitne din phle aapki aakhari bar bat huyi thi.
Rohan – sir..yahi kuch ek saptah phle.
Aashis ke mammy papa – pata nhi hmara beta kha hai..kis haal me hai,aise to kabhi nhi Gaya. Choti si choti bat nhi bta Kar krta.
Police – Thik hai Rohan agar aapko Aashis ka phone aaye to hame inform KR Dena..,chalta hu.
Rohan – ok sir sure.
Aashis ke mammy papa bhi police ke sath chale jate hai. Rohan turant darwaja band krta hai aur Shristi ko call krta hai.
Shristi – hello
Rohan – Aaj police or Aashis ke mammy papa aaye the.
Shristi – Kya,,tumne kuch btaya to nhi..Kya kah rhi thi police.
Rohan – Nhi, Maine bol Diya ki hmari bat hi nhi huyi hai kafi dino se. Best Suspense and thriller story in English 1000 words | Crime Thriller story in english
Shristi – hmm..apna khyal rkhna or soch samjh kr kadam uthana.
Or dono phone rakh dete hai… Udhar police Chan -bin me lag jati hai..or tabhi ek din police ko ek bag milti hai Jo dikhane me kafi mahanga aur branded lag rha thi aur bhari bhi.
Khol kar dekha to sabhi chauk Gaye ,usme kisi ki Kati huyi lass thi.. . Police fauran hin us lass ko forensic department ko bhej deti hai postmartum ke liy.
Report agale din aati hai ,aur pta chalta hai ki ye lass kisi aur ki nhi balki Aashis ki hai. Par ye bag kiska hai ye abhi bhi pata lgana Baki tha.
Kafi khoj bin Ke baad pata Chala ki ye bag USA ke company me manufacture hota hai. Police ka saq yakin me badalta ja rha tha.. or ye saq yakin me tab badal Gaya jab police dubara Rohan ke Ghar gai aur Rohan unhe dekh bhagne ki tyari karne laga.
Police Rohan se bar bar ek hi sawal kiy ja rhi hai ki aakhir usne Aashis ko kyun Mara.
Rohan – Maine use nhi Mara ,Aapke pass koi sabut nhi hai to mujhse swal kaise Kar skte hai.
Police ki phone par tabhi ek email aati hai..ki just din Aashis ka khun huya us din Aashis aur Rohan ke bich Karin 6 bar baat huyi. Jab ki Rohan ne kaha tha ki usne ek saptah se baat nhi ki hai.
Police Rohan ko ek thappad Marti hai aur vo email Rohan ko dikhati hai.
Rohan (rote huye )- han.. Maine Mara hai Aashis ko kyunki vo dost nhi dusman tha. Usne Meri aur Meri gf Shristi ki vedio bnayi thi aur vo hame blackmail Kar rha tha. Best 1 Suspense and thriller story in English
Rohan – Marne ka koi irada nhi tha inspector par Meri gun usne lekar Kar mujhe hi darra rha tha or jab Maine mangi to usne dene se Mana KR Diya or hathapayi me goli usi ko lag gayi.
Police – To tum hamre pass kyun nhi aaye .
Rohan – Dhamki di thi usne ki agar humnr police ko btaya to vo vedio release KR dega.
Itne der me hin Rohan ke mata-pita or Aashis ke mammy papa bhi vaha aa Gaye .
Aashis ke mammy papa – tumne hamre bete ko Mara hai..bhagvan aise dost kisi ko na de.
Rohan ko police le jati hai or Rohan ke mata pita bas to rahe hote hai.
Climax :-
Jail me Rohan ko dande se pita jata hai or tabhi Rohan ki nind khul jati hai aur vo paseene me lath- path huya rahta hai.
Aakhen khulti hai to vo apne Ghar me apne room me Soo RHA tha aur ye bas ek sapna tha..aur av subah ke 7:00 bje hai.
Conclusion :- (Best Suspense thriller story in English 1000 word | Crime Thriller story in english )
1. Sach ho ya sapna ek bat to tay hai ki aaj ISS duniya me sache dost bhut kami hai. Aise me hame satark rahne ki zrurat hain.
Aur jab bat apno ke bhes me parayon ki bat hoti hai satark aur bhi Jada hone ki zrurat hai.
2. Aaj Kal social media but famous Kar deta hai logo ko par ye samjhna bhut zruri hai ki aap famous kis wajah se rahe ho.
3. Dusro se jayda khud Kar bharosha karne hunar jisne bhi sikha hai.,ye duniya usi ne jeeta hai.
Aage Aapke koi vichar hai to hame comment karke zrur btaye . Aur agar ke Kahani achhi lagi ho to babe rahiy hamre sath.
Also Read: non fiction story
Thank you for your precious time.